51. POEM : For the selfless men who die for country.
seene mein liye goliyon ki moti
wo aaj sarhad pe pada hai
us din ki raah liye jab
har shaks is mulk ka
kehne ko sahi par
ek saath khada hai
roti aankhon ne roka usse
ik baar wo thithka bhi tha
par bojh uske kandhon pe
un sab dukhon se badhke tha
koi zarurat nahi ahmak ko
desh pe jaan lutane ko
nikal padta hai phir bhi pagal
desh ki laaj bachane ko
so rahe hai sabhi aaj bhi
apne gharon mein ye soch ke
wo hain wahan khada dekhta
koi aanch nahi aane dega
hindu muslim sikh isai
sab khatam ho jata hai
jab dushman aage badta hai
tab desh bada ho jata hai
wo aaj sarhad pe pada hai
us din ki raah liye jab
har shaks is mulk ka
kehne ko sahi par
ek saath khada hai
roti aankhon ne roka usse
ik baar wo thithka bhi tha
par bojh uske kandhon pe
un sab dukhon se badhke tha
koi zarurat nahi ahmak ko
desh pe jaan lutane ko
nikal padta hai phir bhi pagal
desh ki laaj bachane ko
so rahe hai sabhi aaj bhi
apne gharon mein ye soch ke
wo hain wahan khada dekhta
koi aanch nahi aane dega
hindu muslim sikh isai
sab khatam ho jata hai
jab dushman aage badta hai
tab desh bada ho jata hai
Comments
Post a Comment