Jab sharma rahi thi wo, hum ghabra rahe they,
Mohabbat na ho jaye muqaddas, ada unki dekh ke.
Barishon mein beh rahe hai thi yaadein muqaddas,
Hum ab bhi tanha hai pichli barsaat ki tarah.
Ek baar unko dekha tha door se muqaddas,
Nazdikiyan to us din hi ban gayi thi.
Hum ab bhi jite hai unki yaad mein muqaddas,
Nayi yaadein banane ki fursat kahan ab.
Wo roothein ek din aisa humse, ki phir bole nahi,
Muqaddas unhone, zindagi ki saza se saja di zindagi.
Hum roye they takiye par muh rakh kar us raat,
Jis raat hum dono ki baat band huyi thi.
Tumhe parwah to thi, varna chod ke na jati,
Tumhe pata tha ki tumhara jana,
kis kadar hum par havi hoga.
Daru mein pita nahi, uski wajah hai
Mein dukhi nahi, bas umeed mein hun.
Jis roz khayal aaya tha tumhara,
us roz chain se soye they hum.
har shahar ghum liya hai
unhe dhoondne main,
AAshiq bane na bane muqaddas
guide to ban hi jayega.
hum rote bhi hai to unhe ilm nahi hota
text kar diya hai,samajh le to accha ho.
kal naukri se istifa dega muqaddas,
aashiqui ke kaam se istifa de diya hai.
aansoo baha deiya to wapas nahi aayega muqaddas,
yehi inaam meri bewafai ka samajh lena.
wo udna chahti thi duniye main muqaddas
chod de ab abhi waqt hai,
tere pyar ne uske paron ko
pani se bhigon diya hai.
Coffee pine starbucks unke paas to jata hai muqaddas
Par dost ke saath thele ki chai pine ke baad.
Chahat mein pad ke muqddas khud ko na badalna,
Utni kao aashiqui, ki imaan bhi bhi rahe aur ishq bhi
Tera dil dariya hai samander nahi muqaddas
Utna hi do jitne pe afsos na ho.
Manch par koi bhashad de raha tha, wo tali baja raha tha
Shaam k raamleea mein bhi muqadddas wo yehi kar raha tha
Subah dopahar shaam raat unki yaad aati hai
Pyar na hua, doctor ki dawai ho gayi hai.
Muqddas ne unhe dekh kar apna bana liya
unhone sir guma ke phir paraya kar diya
Wo aaye aur dil ko nestanabood kar gaye
Ab phir se dil lagane ka dil nahi karta
Dua khuda se karein ya bhagwan se, kya pata
Pyar hindu se hua hai, muqaddas musalman hai
Mohabbat ki raahon mein musibat ki duayein karta hai muqaddas
kal ko pooche koi dastaan to sunane ko kahani to ho.
Nahi aati shayari, nahi aati gazlein likhni muqaddas
Mohabat bhi kisne sikhayi thi, kari aur aa gayi.
Mana taiyari nahi hai muqaddas, kadam to badha ke dekho
kabhi kabhi manilein khud bhi chalti hai, musafir ki taraf
wo manata raha ki wo aayegi ek din muqaddas
wo aayi to usne rasta badal liya.
wo gol aankehin aaj bhi yaad hai mujhe muqaddas
jo dekhti thi aur khehti thi ki, sab theek ho jayega.
Comments
Post a Comment